Friday 26 July 2019

Chai Ya Coffee?

Wo chai ka diwana, chai chai chillata rehta he 
Moka milte hi ye dekho, chuskiyan lagata firta he 
Kisi aur chiz se zada ise chai me jannat dikhti he
Ghar se nikal kr ye sidha tapri pr hi milta he

Lat esi lagi ki ghaat ghaat ki chai chakhi
Kisime elaichi nahi to kisime adrak kam lagi
Ab ye diwano ke nakhre hi itne hote he
Kisiko ek din me do bar, to kisiko char bar bhi kam lagi

Sir dukhe to chai he lagti,
Aankh lage to chai he lagti 
Waqt nahi koi inki chai ka
Kuch karne ko na ho, to chai he lagti

Befizul ki chai pe charcha
Faltu ka dekho kitna kharcha
Aachi bhi ho to msala kam padta
Kisiko mithi to fiki ka bhi lafda

Adrak tulsi kya kya nahi dalte
Chai ko beth kr kheer bnate
Simple chai to pasand nahi ati
Kabhi kabhi to pani bech aate

Isse aachi to coffee humari
Na lat lage na koi bimari
Hot ke sath sath cold bhi chalti 
Iske sath kya competition tumhari

Coffee ke samne tumhari chai ne bhi dam toda
Hot ho ya cold ho, isne chai ko piche choda
Thodi thodi karke zada ho jati 
Buri he ye lat, ise kam karo thoda

Bhale chai ho desi tumhari, coffee hmari bhi  royal he
Bhale ho premi bhoot chai ke, coffee lovers bhi to loyal he
Chalo mana coffee me caffeine he zada
Din me cup se lage nahi zada
Tumko chai to dinbhar lagti
Thoda thoda hogya na zada?

Me ye nahi keh rha ke aachi nahi chai
Aya hu banke jo tumhe samjhaye 
Kyuki suna he itni mohabbat aachi nahi hoti
Bss dhiyan rakhna, dhoka na de jaye.

Thursday 18 July 2019

kalakar Ki Maut

Jo Keh na pata tha wo likhta tha me
Jo Keh na pata tha wo likhta tha me
Agar aaj likhna band kr diya
To isse badi un alfazo ki maut kya hogi

Jo wo likhte he, wo ye samajhte he
Jo wo likhte he, wo ye samajhte he
Agar in kagazo ne bhi samajhna chod diya 
To isse badi us kalakar ki maut kya hogi.

Wednesday 17 July 2019

Waqt

वक़्त रंग बदल देता है, लोगो के ढंग बदल देता है
इंसान के रिश्ते और यादों के संग सब बदल देता है
यूं तो चाल बड़ी धीमी होती,
लेकिन धीरे धीरे ये वक़्त, भ्रमांड बदल देता है।

यादों को देखो, तो वक़्त जल्दी निकल जाता है
मोहब्बत को देखो, तो वक़्त थम सा जाता है
बचपन में तो सभी प्यार करते है,
बुढ़ापे तक शायद, वक़्त बदल जाता है।

उम्र से पहले, सपने बदल जाते है 
दोस्ती होते ही अजनबी बन जाते है 
यूं तो अक्सर बातें बड़ी बड़ी किया करते है
लेकिन वक़्त से पहले, तो इंसान भी बदल जाते है

Monday 15 July 2019

Colours



Dadi Maa

Sunday 14 July 2019

Me Awaz Hu


Saturday 13 July 2019

Tumpe Likhi Kitab 📘

Ek din jab tum door chali jaogi
Tab tume Yaad Nahi karunga
Tumhe kagazo par utar dunga, 
Jo Waqt tumhare sath bitaya he
US har lamhe ko ek khani bna dunga

Hmare milne se shuruwat hogi
Hii Hello sab chodo
Tumhari muskurahat ki wo Baat hogi
Ankhe zulfe to thik he 
Tumhari adaa ki bhi Baat hogi
Aur tumhari baate to sabne suni he, 
Tumhari khamoshi ki bhi Baat hogi

Tumhari nadani, masti, notanki ka hissa hoga
To tumhare ruthne, mnane aur gusse ka kissa hoga
Raat me tumhare khwab likhunga
Subh ko ek sachai likhunga
Me likhunga kese hasti ho tum
To tumhare aansuon ki barsat bhi likhunga 
Me likhunga kese samjha he tumne mujhe
Me likhunga, ke kese samjha he tumne mujhe
To me jo na Keh saka wo Baat bhi likhunga 

Har pal jo tumne bitaya he
Doston ko jo itna staya he
Un sab yaadon ki ek potli hogi
Jisme papa ki fikar aur Maa ke pyar ki ek alag jagh hogi
Fir Yaad karegi duniya tumhe
Jab tumpe likhi ek kitab hogi.