Friday 26 July 2019

Chai Ya Coffee?

Wo chai ka diwana, chai chai chillata rehta he 
Moka milte hi ye dekho, chuskiyan lagata firta he 
Kisi aur chiz se zada ise chai me jannat dikhti he
Ghar se nikal kr ye sidha tapri pr hi milta he

Lat esi lagi ki ghaat ghaat ki chai chakhi
Kisime elaichi nahi to kisime adrak kam lagi
Ab ye diwano ke nakhre hi itne hote he
Kisiko ek din me do bar, to kisiko char bar bhi kam lagi

Sir dukhe to chai he lagti,
Aankh lage to chai he lagti 
Waqt nahi koi inki chai ka
Kuch karne ko na ho, to chai he lagti

Befizul ki chai pe charcha
Faltu ka dekho kitna kharcha
Aachi bhi ho to msala kam padta
Kisiko mithi to fiki ka bhi lafda

Adrak tulsi kya kya nahi dalte
Chai ko beth kr kheer bnate
Simple chai to pasand nahi ati
Kabhi kabhi to pani bech aate

Isse aachi to coffee humari
Na lat lage na koi bimari
Hot ke sath sath cold bhi chalti 
Iske sath kya competition tumhari

Coffee ke samne tumhari chai ne bhi dam toda
Hot ho ya cold ho, isne chai ko piche choda
Thodi thodi karke zada ho jati 
Buri he ye lat, ise kam karo thoda

Bhale chai ho desi tumhari, coffee hmari bhi  royal he
Bhale ho premi bhoot chai ke, coffee lovers bhi to loyal he
Chalo mana coffee me caffeine he zada
Din me cup se lage nahi zada
Tumko chai to dinbhar lagti
Thoda thoda hogya na zada?

Me ye nahi keh rha ke aachi nahi chai
Aya hu banke jo tumhe samjhaye 
Kyuki suna he itni mohabbat aachi nahi hoti
Bss dhiyan rakhna, dhoka na de jaye.

4 comments: